Waada karo kahi mil jaaye toh pehchaan loge na,
Aakhir tum wo kissa ho jo adhura reh gaye.
Ab kya lafzon ke zariye kahun toh hi maanoge,
Yaar! tum in aankhon ki kyun nahi sunte.
Bohot koshish ki mitaane ki par itna aansaan na tha,
Meri jaan, tumhaare honthon ne jo uss din maathe par daag lagaaya tha.
Wo jo tumhari har galti ko maaf kar raha hai,
Kya wahi hai jo tumse beintehaan pyaar kar raha hai.
Wo aise waqt main apna banaana chahta tha jab,
Khud se pyaar karne ki bhi wajah na thi.
Jism ko tolenge, aur seerat ko nazarandaaz karenge,
Isq ke naam pe ye aashiq kitna girenge.
In nigaahon ki har harkat se waakif hai hum,
Hamein batao kahan doobkar bataana hai.
Log itraate reh gaye aoni chaalakiyon par,
Kaun samjhaaye ki wo kya gawa baithe hai.
Meri nazron ke saamne aaj kya wo guzri,
Dekha ki meri di hui jhumkiyon se ab bhi mohabbat hai usse.
Matlab waala pyaar karna hai to maa baap se karo,
Uss matlab mein bhi wo dher saara pyaar dhund lenge.
Uss din wo chudi waale ko apni kalaayi thama rahe rahi thi,
Jinki aajtak hum ungliyaan na chu sake.
Mukhtalif thi unki aur hamaari raahein,
Baat badti toh shaayad ishq bhi kar lete.